Ehsaas mera saaz dil ki awaaz www.ehsaas.us
1.) Baarish ki bundo mein bheega tera yeh badan,
Saawan mein bhi aag lagaye yeh husn,
Madhosh kare behkaye jalaye jiya mera,
Baahon mein aa meri bhuja de yeh agan.
2.) Kyu tere paas ane se darta hai mann mera,
Kyu tere chhune se kaampta hai tan mera,
Baatein meri deewana banaye mehkhano ka nasha teri nazron mein,
Dekhane se teri taraf darti hun kahin bas na jaye ruh mein ud najaye chain mera.
3.) Baahon mein aa ja na ja tu dur mujhse,
Ki tere bin jeena hai mushkil sanam,
Na jay un dur mujhe tanha chod kar,
Ki tere bina mar hi jayenge hum.
4.) Khoya main tere khayalon mein yaadon mein is tarah,
ata hai labon pe naam tera aankhon mein tera chehra har lamha,
itna bhi na hosh raha ki teri pukar sun sake,
teri judaai ne mujhe pagal banaya deewana banaya is tarah.
5.) Har lamha beete saanson ki raftaar badti jaye,
Dekhu ghadi baar baar dhadkane bekaraar hoti jaye,
Thak rahi hai aankhein tut rahi hai baahein tere intezaar mein,
Tere paas ane ke liye tujhe aaghosh mein lene ke liye meri jaan nikli jaye.
Did you liked it?
Want to read more?
then visit my website.
address in title
Ehsaas - Mera saaz dil ki awaaz
|