Gham kee barish ney bhee tere naqsh ko dhoya nahin,
tu ne mujh ko kho diya,mein ne tujhe khoya nahin,
neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha,
yoon laga jaise wo shab ko dair tak soya nahin ,
har taraf deewar-o-dar aur un mein ankhon ke hujoom ,
keh sake jo dil kee halat wo lab-e-goya nahin,
janta hoon ek aise shaks ko mein bhee SHAHMI,
sham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin...
