barbaad mumbai
na jane kin logo ne thama mumbai ko apne haath,
chale the lekar wo sabko apne saath.
socha tha kabhi na chhootega saath humara,
har sapna such hogo humara.
lo ek baar fir tooti humari aas.
ek baar fir mumbai baukhlaya humara.
kitni bar barbad hua tha,
or aatankwadion ne kafan chhooa tha,
lo fir ek baar, karne aye wo mumbai barbaad,
bhool gye wo ke unke sathion ka kya hasr hua tha.
is baar, unhone ek kasam thani thi,
unhone saari mumbai ko aag lagani thi.
isiliye unhone taj or obroi par kabja kiya,
or sare polishwalon ka sanhar kiya.
chala ye khel pure 2 din
dekho inhone ye kaisa humla kiya.
sari force sakhti main aa gyi,
lo unhone to puri mumbai or bharat ko hila diya.
kasoor ye sirf humara hai (poore deshwasio ka)
kyonki hum logo ne unhe undar aane diya.
sarkar khelti hai politics,
or sari polish so jati hai.
dekho humne ye kaisi sarkar ko janam diya.
chahe wo wo BJP ya chahe ho CONGress sarkar,
ye dete hai taklife appar,
or chhod dete hai hume besahara,
kisi kone me marne ke liye bachta hai humare pass chara.
us kone me bhi hum khush ho jate hai,
chahe kahin par bhi bomb foote,
do din baad bhoolkar, fir khushia manate hai.
|