yun naa tadpao hume dil jal jaata hai
yun naa baat karo sabse dil rooth jaata hai
na jaane tumhaare dil mein kya hai
hum hain ki apne dil ko samjha nahi paate
na jaane kab tak badhne denge zakhm dil ke
hum hai ki maare sharam ke kuch pooch bhi nahi paate
aasaan hai,humne toh kaagaz pe likh diya dil ka haal
mushkil hai,labz humaare kuch bayaan nahi kar paate
ki kaash aisa ho sakta,ki kaash waisa ho sakta
ki kaash sacche diwaalo ki sirf ek fariyaad poori ho paati
phir humne toh apni har frariyaad mein sirf aapko maanga hai.